'uthaya tha jaam ik gum bhulanay k liye
wohi seene se lipat gaya mujhe or satane k liye
usay keh do na aya karay meri mehfil main
uski yaadain hi kafi hain mera dil jalanay k liye
saqi aaj pila do itna k kuch khabar na rahay
koi gum mere paas na bhatkay mujhe rulanay k liye
dukh nahi k ab koi sath nahi raha mere
ab mekhana hi kafi hai mera sath nibhane k liye
saaqi youn mujhe her bar us karne ka na keh
aaj sara mekhana bhi kam hai dil ki aag bujhanay k liye'